Nishan Yahi Hai Zamane Mein Zinda Qoumon Ka Lyrics
Nishan Yahi Hai Zamane Mein Zinda Qoumon Ka Lyrics In English
Allama Iqbal
Nishan Yahi Hai Zamane Mein Zinda Qoumon Ka
Ke Subha O Sham Badalti Hain In Ki Taqdeerain
Kamal-E-Sidq-O-Marawwat Hai Zindagi In Ki
Maaf Karti Hai Fitrat Bhi In Ki Taqseerain
Qalanderana Ada’en, Sikandarana Jalal
Ye Ummatain Hain Jahan Mein Barhana Shamsheerain
Khudi Se Mard-E-Khud Agah Ka Jamal-O-Jalal
K Ye Kitab Hai, Baqi Tamam Tafseerain
Shikwa-E-Eid Ka Munkir Nahin Hun Mein, Lekin
Qabool-E-Haq Hain Faqat Mard-E-Hur Ki Takbeerain
Hakeem Meri Nawa’on Ka Raaz Kya Jane
Wara’ay Aqal Hain Ahl-E-Junoon Ki Tadbeerain
Nishan Yahi Hai Zamane Mein Zinda Qoumon Ka Lyrics In urdu
نشان یہی ہے زمانے میں زندہ قوموں کا
کہ صبح و شام بدلتی ہیں ان کی تقدیریں
کمالِ صدق و مروت ہے زندگی ان کی
معاف کرتی ہے فطرت بھی ان کی تقصیریں
قلندرانہ ادائیں ، سکندرانہ جلال
یہ اُمتیں ہیں جہاں میں برہنہ شمشیریں
خودی سے مرد خود آگاہ کا جمال و جلال
کہ یہ کتا ب ہے ، باقی تمام تفسیریں
شکوہ عید کا منکر نہیں ہوں میں لیکن
قبول حق ہیں فقط مرد حُر کی تکبیریں
حکیم میری نواوں کا راز کیا جانے
ورائے عقل ہیں اھل جنوں کی تدبیریں
0 Comments